Lata Mangeshkar – Bhar Bhar Ke Pila lyrics
cho :
aa ja ~
aa ja aa ja mere saaqi
hasarat hai dil mein baaqi
ulfat ka jaam pila ja
jeene ka dhang bata ja
aa ja aa ja aa ja aa ja
aa ja~~
lataa:
ye kis ne pukaara hai mujhe
kis ne pukaaraa~
hai kaun talabgaar mera
kaun hai pyaaraa~
samooh svar:
saaqi main idhar hoon
main idhar hoon
main idhar hoon
main paas mein baitha hoon
aur main kadamon mein pada hoon
cho :
bhar bhar ke jaam pila de -2
saaqi bana de matavaala
tu la la la bas bana de matavaala -2
lataa:
sharaab-e-husn nazar se pilaane aayi hoon
main ek-ek ko bekhud banaane aayi hoon -2
ada se naaz se abaro ke ik ishaare se -2
dilon mein ishq ka jaadu jagaane aayi hoon
cho :
bhar bhar ke jaam pila de ...
lataa:
nazar milaao to dil ko qaraar a jaaye
har ek ada pe tum ko pyaar a jaaye
uthaao jaam ke janata se kam nahi duniya -2
piyo piyo ke tumhen aitabaar a jaaye -2
cho :
bhar bhar ke jaam pila de ...
lataa:
vo muskura ke nigaahen milaaye jaate hain~
suruur ban ke mere dil pe chhaaye jaate hain - 2
mili hai aaj jo un ki nazar se meri nazar - 2
to haay mere kadam dagamagaaye jaate hain
cho :
bhar bhar ke jaam pila de ..
Top Lata Mangeshkar songs
- Lag Ja Gale
- Aaja Sanam Madhur Chandni Mein Hum
- Aapki Nazron Ne Samjha
- Ek Pyar Ka Nagma Hai
- Kaanta Laga (Original)
- Dikhayi Diye Yun
- Pardesiya Yeh Sach Hai Piya
- Lag Ja Gale Ki Phir
- Rangeela Re Tere
- Solah Baras Ki Baali Umar Ko Salaam
- Do Pal Ruka
- Naam Gum Jaayega
- Agar Tum Na Hote
- Karvatein Badalte Rahe Saari Raat Hum
- Main Chali Main Chali Dekho Pyar Ki Gali