Mohammad Rafi – Yeh Dil Nahin Ki lyrics

ye dil nahin ki jiske sahaare jiite hain
lahu ka jaam hai jo subah-o-shaam piite hain
ye dil nahin hai...

chupaya laakh magar ishq nahin chuptaa
yun ashq aankh mein aaya hua nahin rukta
ki aag lagti hai jab aansuon ko piite hain
lahu ka jaam hai...

tadap-tadap ke nikalenge dil ke aramaan ham
karenge ranj se paidaa Kushii ke samaan ham
ki gamon ki nok se dil ke zakham siite hain
lahu ka jaam hai...

kabhi qaraar na aayega humko jiine se
ilaaj zehar ka hota hai zahar piine se
ki sar pe maut ka saaya hai phir bhi jiite hain
lahuu kaa jaam hai...

Submitted by Guest