Sadhana Sargam – Banno Rani lyrics

Banno rani tumhe sayaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
E raja ki tumko raani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
Banno rani ek din tumko banne raja ke ghar doli mein jaake
Hum sakhiyon se yoon anjaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
Banno rani tumhe sayaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha

Nainon mein hai kaajal ke dore
Mehndi se rache haath gore
Jhumar tera dam dam damke
Jhumka tera jham jham jhamke
Haar galey mein jagmagaaye
Aanchal tera resham resham
Haule haule madham madham
Tu man hi man muskaaye
Tu man hi man muskaaye
Sukh spanon mein yoon mastaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
Banno rani tumhe sayaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha

Banne raja jo paas aaye
Chaahe dil ghunghta uthaaye
Dekho banno maan na jaana
Mukhda unko na dikhlaana
Pehle sau baatein manvaana
Kehna bolo karke salaami
Banno karoonga teri ghulaami
Main to hoon tera deewana
Main to hoon tera deewana
Unhein deewana tumhein deewani hona hi tha hona hi tha hona hi tha

Banno rani tumhe sayaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
E raja ki tumko raani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
Banno rani ek din tumko banne raja ke ghar doli mein jaake
Hum sakhiyon se yoon anjaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
Banno rani tumhe sayaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha.

Submitted by Guest