Mohammad Rafi – Letras de Chaandi Ka Badan
ra, ma, cho: chaaNdi kaa badan sone ki nazar
us par ye nazaakat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
chaaNdi kaa badan sone ki nazar
us par ye nazaakat haay nazaakat lyaa kahiye
kis kis pe tumhaare jalvoN ne
toDi hai qayaamat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
chaaNdi kaa badan sone ki nazar
A: aa aa aa..
A, mee, cho: aa..
GhustaaKh zubaaN GhustaaKh nazar
ye rang-e-tabiyat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
aise bhi kahin is duniyaa mein
hoti hai muhabbat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
GhustaaKh zubaaN GhustaaKh nazar
ra: aa..
ra, ma, cho: aaNchal ki dhanak ke saaye mein
ye phool gulaabi chehroN, chehroN ke
ye phool gulaabi haa aa aa aa ye phool gulaabi chehroN ke
ye gul bhi hai gulshan bhi hai aur taaroN kaa jhurmaT bhi
ye phool gulaabi chehroN ke
ye phool gulaabi haay gulaabi chehroN ke
is vaqt hamaari nazroN mein
kyaa cheez hai jannat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
is vaqt hamaari nazroN mein
ra, ma: haa aa haa aa haa
ra: tumse nazren jo milin
deen-o-duniyaa se gaye
ik tamannaa ke sivaa
har tamannaa se gaye
mast aaNkhoN se jo pee
jaam-o-meenaa se gaye
zulf lahraayee jahaaN
ham bhi lahraa se gaye
ra, ma, cho: hooren milti hain kise
is ki parvaah se gaye
is ki parvaah se, parvaah se, parvaah se gaye
is vaqt hamaari nazroN mein
kyaa cheez hai jannat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
chaaNdi kaa badan sone ki nazar
A: aa aa aa..
A, mee, choo: yuN garm nigaahen mat Daalo
ye jism pighal bhi pighal bhi sakte hain
ye jism pighal bhi, aa aa aa aa
ye jism pighal bhi sakte hain
ye jism pighal bhi haay pighal bhi sakte hain
aadaab-e-nazaaraa bhoole ho
tum logoN ki vahshat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
aadaab-e-nazaaraa bhoole ho
A: aa aa aa aa aa
tum hamen jeet sako
is kaa imkaan nahin
Khud ko badnaam karen
ham vo naadaaN nahin
mee: koi martaa hai mare
ham pe ehsaan nahin
un se kyuN baat karen
jin se pahchaan nahin
A, mee, cho: tum ko armaaN hai to hai
ham ko armaan nahin
ham ko armaan ke armaan ke armaan nahin
aadaab-e-nazaaraa bhoole ho -2
tum logoN ki vahshat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
ra, ma, cho: chaaNdi kaa badan sone ki nazar
A, mee, cho: din raat duhaayee dete hain
ye haal hai in deevaanoN kaa -2
A: ye haal hai in deevaanoN kaa
chorus: ye haal hai in deevaanoN kaa -4
A: jahaaN dekhi nayee soorat machal baiThe -2
haay yahi, yahi, yahi lenge
mee, cho: ye haal hai in deevaanoN kaa -2
ma: jin ki Khaatir Gham sahen aur ro-ro jaaN gavaaen
ra: haay ri qismat unhin ke mooNh se deevaane kahlaayen
ra, ma, cho: ke ab ( ye haal hai in deevaanoN kaa ) -2
A: aa aa.. aa aa haa
in aashiqoN ke haath hai, ai zindagi bavaal
in kaa karen Khayaal ke, apnaa karen Khayaal
har lab hai arz-e-shauq to, har aaNkh hai savaal -2
A, mee, cho: ye Gham se beqaraar hai, vo dard se nihaal
arey ye haal hai in deevaanoN kaa
ye haal hai in deevaanoN kaa
ra: aa.. meri neend gayee meraa chain gayaa
vo jo pahle thi taab-o-tabaan gayee
ma: yahi rang rahaa yahi Dhang rahaa
to ye jaan lo jaan ki jaan gayee
ra, ma, cho: ye haal hai in deevaanoN kaa -2
A: kisi ko Khud-Khushi kaa, shauq ho to, kyaa kare koi
ra: davaa-e-hijr de, beemaar ko, achchhaa kare koi
mee: koi bevajah sar phoDe to kyoN parvaah kare koi
ma: kisi majboor-e-Gham kaa haal kyoN aisaa kare koi
A: mazaa jab hai ki tum, tum taDpaa karo, taDpaa karo tum
dekhaa kare koi
ra: maren ham aur tum par, ke tum par Khoon kaa, Khoon kaa
daavaa daavaa kare koi ma: haaN
ra: daavaa kare koi ma: haaN aa aa aa
ra, ma, cho: ye haal hai in deevaanoN kaa -4
A, mee, cho: ye haal hai in deevaanoN kaa, deevaanoN kaa
jeete bhi nahin marte bhi nahin
bechaaroN ki haalat kyaa kahiye
eji kyaa kahiye
GhustaaKh zubaaN GhustaaKh nazar
Lo más escuchado de Mohammad Rafi
- Dil Ke Jharoke Mein Tujko Bithakar
- Chand Mera Dil Chandni Ho
- Khilona Jaan Kar
- Isharo Isharo Mein Dil Lene
- Kya Hua Tera Wada
- Tumne Pukara Aur Hum Chale Aaye
- Aane Se Uske Aaye Bahaar
- Yeh Ladka Hai Allaah
- Yeh Chand Sa Roshan Chehra
- Aaj Mausam Bada
- Dafliwale Dafli Baja
- Teri Ankhon Ke Siva
- Aa Lag Ja Gale
- Aadmi Musafir Hai
- Tu Is Tarah Se Meri Zindagi Mein Shamil