Suresh Wadkar – Letras de Jeejaji Jeejaji Hone Wale Jeejaji

jeejaaji jeejaaji hone vaale jeejaaji
shaadi ke phere hain saat aur hamaari sharten saat
tumko ho manzuur agar tabhi milega deedi ka haath
jeejaaji jeejaaji ...

pehali shart aapko bata den
ki deedi khaana nahi pakaayegi
are iski mujhe parvaah nahi
hotel se khaana manga luunga

dusari ye shart hai hamari
ki nain kisi se nahi ladaaoge
are deewana huun in naino ka
in se main nain ladaauunga
saali o saaleeji hone vaali saaleeji
jeejaaji jeejaaji hone vaale jeejaaji

teesari ye shart hai hamaari
ki seedhe daftar se ghar aaoge
oy ghar ke siva jaana kahan
ghar mein hi daftar bana luunga

aur chauthi shart hai hamaari
ki deedi ko tum saari kamaai doge
na rakhuunga main kuch apne liye
sab kuch inhen main de duunga
saali o saaleeji hone vaali saaleeji
jeejaaji jeejaaji hone vaale jeejaaji

aur paanchavi shart to suniye
deedi jab bhi maike mein jaayegi
to jaldi wapas nahi bulaaoge
are ghar-vaali bin ghabaraaya dil
to saaleeji tumko bula luunga

chhathi shart to suniye
deedi ki taareef mein hamesha
nai kavita roz sunaaoge
kavita meri na bhaayegi to
tulsi ke dohe suna duunga

saatveen ye shart hai hamaari
ki deedi bachche nahi khilaayegi
are deedi ko kashht na duunga kabhi
bachcho ko kud hi sambhaaluunga

meri bhi ek shart suniyeji
are bas, bas, bas
shaadi zara hone to do
jo bhi kahogi main maanuunga
beeviji beeviji hone vaali beeviji

Añadido por Guest