Ghulam Ali – saki sharab la lyrics

yeh alag baat hai saaki ke mujhe hosh nahin
varna main kuch bhi hoon ahsaan faramosh nahin
main teri mast nigahi ka bharam rakh loonga
hosh aaaya bhi toh kahdoonga magar hosh nahin

saki sharab la ke tabiat udaas hai

chubhati hai khal o jaan mien sitaron ki roshni
ae chaand doob ja ke tabiat udas hai

sayad tere labon ki chatak se ho jee bahal
ae dost muskura ke tabiat udas hai

hai husn ka fasoor b ilaj e fasurdagi
rukh say nakab utha kay tabiyat udas hai

maine kabhi ye zid toh nahin ki par aaj shab
ae mah-jabeen na ja kah tabiyat udas hai

tauba toh kar chuka hoon magar phir bhi aye adam
thoda sa zahar la ke tabiat udaas hai......

Submitted by Guest