Jagjit Singh – Har Ghadi Khudse Ulajhna lyrics

har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera - 2
main hi kashti hu mujhi mein hain samundar mera
har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera

ek se ho gaye mausamo ke chehre saare - 2
meri aankhon se kahi kho gaya manzar mera
har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera

kis se pootchu ke kaha gum hu kai barso se - 2
har jagah dhundhta phirta hain mujhe ghar mera - 2
har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera

muddatein ho gayi ek khwaab sunehra dekhe - 2
jaagta rehta hain har neend mein bistar mera - 2
har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera
main hi kashti hu mujhi mein hain samundar mera
har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera

Submitted by Guest