Lata Mangeshkar – Aa Ke Ab Aata Nahin Dil Ko Qaraar lyrics

(aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar)-2
raah takate thak gayaa hai intazaar
aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar

is qadar bechain hai duniya meri
dil ki har dhadkan mein hai aahai teri
aarazuein ho rahi hain beqaraar
aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar

(dil sadaayein de raha hai tu kahaan)-2
muntazir hain chaand taare aasamaan
ye havaaein ye fizaayein ye bahaar
aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar

aas tere vo hasin raatein gayi
pyar ki rangin mulaaqaatein gayi
rah gaya hai dard dil ki yaadgaar
aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar

Submitted by Guest