Lata Mangeshkar – Aapki Mehki Hui Zulf lyrics

y: aap ki mehki hui zulf ko kehte hain ghata
y: aap ki madbhari aankhon ko kanval kehte hain
l: main to kuchh bhi nahi tum ko haseen lagati hu
l: is ko chahat bhari nazaro ka amal kehte hain

y: ek ham hi nahi sab dekhane vaale tum ko
y: sang-e-marmar pe likhi shokh Gazal kehte hain
l: aisi baatein na karo jin ka yaqeen mushkil ho
l: aisi taarif ko niyat ka Khalal kehte hain

y: meri taqadir ki tum ne mujhe apna samjha
l: meri taqadir ki tum ne mujhe apna samjha
y, l: is ko sadiyo ki tamannaao ka phal kehte hain - 2

Submitted by Guest