Lata Mangeshkar – Deewana Yeh Parwana lyrics

deewana yeh parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
deewana parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
jaan jalaye sukh paaye jalne mein mazaa aayen - 2
jalne ke dhang nirale samjhe kya duniya wale
ishq tera afasana
shamma pe aaya leke dil ka nazarana
deewana parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana

parwane ke pankh jalake shamma bhi pachhtaye - 2
yaad mein parwane ki subah tak jaan jalaye
ho... khel nahi dil ka lagana
shamma pe aaya leke dil ka nazarana
yeh deewana yeh parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana

jalne jalane mein kahani hain pyar ki
mitne mitaane mein jawani hain pyar ki
pyar mein marna ho jeene ka bahana
shamma pe aaya leke dil ka nazarana
yeh deewana yeh parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana - 2

Submitted by Guest