Lata Mangeshkar – Dil Ki Nazar Se lyrics

Dil ki nazar se, nazaron ki dil se
Ye baat kya hai, ye raaz kya hai
Koi hamein bataa de

Seene se uthkar, honton pe aaya
yye geet kiska, ye raaz kya hai
Koi hamein bataa de, dil ke nazar se...

(Kyon bekhabar, yoon kheenchi si chali jaa rahi main
Ye kaun se bandhanon mein bandhi jaa rahi main)-2
Kuch kho raha hai, Kuch mil raha hai
Ye baat kya hai, ye raaz kya hai

Koi hamein bataa de, dil ki nazar se ..

(Ham kho chale, chaand hai ya koi jaadugar hai
Yaa, madbhari, ye tumhari nazar ka asar hai)-2
Sab kuch hamara, ab hai tumhara
Ye baat kya hai, ye raaz kya hai
Koi hamein bataa de, dil ki nazar se ..

(Aakaash mein, ho rahen hain ye kaise ishaare
Kya, dekh kar, aaj hain itne khush chaand taare)-2
Kyon tum paraaye, dil mein samaaye
Ye baat kya hai, ye raaz kya hai

Koi hamein bataa de, dil ki nazar se ..

Submitted by Guest