Lata Mangeshkar – Ek Tu Na Mila - Sad lyrics

ek tu na mila
sari duniya mili
khila na mera dil
sari bagiya khili

dharti hoon mai aur tu hai gagan
hoga kaha tera mera milan
laakh pahere yaha
pyaar dil mein pale bhi to kya hai
ek tu na mila

taqdeer ki main koi bhool hoon
daali se bichhada huwa phool hoon
sath tera nahi sang duniya chale bhi to kya hai
ek tu na mila

tujh se lipatkar jo ro lete hum
aansu nahi the ye moti se kam
tera daaman nahi
ye aansu dhale bhi to kya hai
ek tu na mila

Submitted by Guest