Lata Mangeshkar – Guzra Hua Zamana, Aata Nahin Dubara lyrics

Guzra Hua Zamana, Aata Nahin Dubara
Hafiz Khuda Tumhara

Khushiyaan Thi Chaar Din Ki Aansoo Hain Umr Bhar Ke
Tanhaiyon Mein Aqsar Royenge Yaad Kar Ke
Vo Waqt Jo Ki Hamne Ik Saath Hai Guzaara
Hafiz Khuda Tumhara...

Meri Qasam Hai Mujhko Tum Bewafa Na Kehna
Majboor Thi Mohabbat Sab Kuchh Pada Hai Sehna
Toota Hai Zindagi Ka Ab Aakhri Sahara
Hafiz Khuda Tumhara...

Mere Liye Sehar Bhi Aayi Hai Raat Ban Kar
Nikla Mera Janaza Meri Baraat Ban Kar
Achha Hua Jo Tumne Dekha Na Ye Nazaara
Hafiz Khuda Tumhara...

Submitted by Guest