Lata Mangeshkar – Hey Thandi Hawaaon Ne lyrics

(hey thandi hawaaon ne gori ka ghoonghat utha diya
hey kaali ghataaon ne saajan ko natkhat bana diya) - 2
nagar nagar dagar dagar panghat bana diya
gori ka ghoonghat utha diya
hey thandi hawaaon ne gori ka ghoonghat utha diya

barkha bahaar - 3 aayi barkha bahaar
jaane kis birhan ne likhi koi chitthi piya ke des re
aayi purwaai leke pardesi preetam ka sandes re
baadal ne - 3 rutt ko kajal laga diya
hey thandi hawaaon ne gori ka ghoonghat utha diya

rimzim puhaar - 3 pade rimzim puhaar
teri nazar sabpe tujhe sabki khabar par yeh pata hai ke nahi
maine toh saawan se kaha chupkese woh tune suna hai ke nahi
saawan se - 3 pehle mann ne bata diya saajan ko natkhat bana diya
hey kaali ghataaon ne saajan ko natkhat bana diya

main baanwri - 3 hui main baanwri
ooi darr gayi bijli si tujhe chhu liya maine yeh badi bhool hui
ek hi din ek hi pal ek hi jhonke mein kali phool hui
shabnam ko - 3 tumne shola bana diya saajan ko natkhat bana diya
hey thandi hawaaon ne gori ka ghoonghat utha diya
hey kaali ghataaon ne saajan ko natkhat bana diya
(nagar nagar dagar dagar panghat bana diya
gori ka ghoonghat utha diya) - 2
saajan ko natkhat bana diya gori ka ghoonghat utha diya...

Submitted by Guest