Lata Mangeshkar – Ji Bharke Aish Kar Le lyrics

la: rahati nahi hameshaa, ye chaand ki jawaani
ji bhar ke aish kar le

cho: ji bhar ke aish kar le

la: jab tak hai zindagaanii, jab tak ye zindagaani

cho: aa aa aa

la: guzare jo mastiyon mein achchhi vahi ghadi hai
varana ajal to kab se peechhe tere khadi hai
cho: aa aa aa
la: jab tak chale chala le ye saans ki kahaani
ji bhar ke aish kar le

cho: ji bhar ke aish kar le

la: jab tak hai zindagaanii, jab tak ye zindagaani

cho: aa aa aa

la: ye kaab hai sunaharaa, rangeen hai ye dhoka
mat chhod zindagi ka koi haseen mauka
aayega haath phir naa, bahata hua ye paani
ji bhar ke aish kar le

cho: ji bhar ke aish kar le
la: jab tak hai zindagaani jab tak ye zindagaani

cho: aa aa aa

la: rahati nahi hameshaa, ye chaand ki jawaani
ji bhar ke aish kar le
cho: ji bhar ke aish kar le
jab tak hai zindagaani jab tak ye zindagaani
aa aa aa

Submitted by Guest