Lata Mangeshkar – Mere Mann Ka Baavra Panchi lyrics

mere mann ka baavara panchi kyon baar baar dole -2
sapanon mein aaj kis ka vo bahake pyaar dole
mere mann ka ...

kis ke khayal mein ye nazarein jhuki jhuki hain -2
dekho idhar bhi lab par aahein ruki ruki hain -2
tum ho qaraar jis dil ka -2
wohi beqaraar dole
mere mann ka ...

dil ko lagan hai uski meethi nazar hai jiski -2
ham paas hain tumhare phir dil mein yaad hai kis ki -2
tum jo nazar milaao -2
dil mein bahaar dole
mere mann ka ...

kab se khade hue hain kah do to laut jaaye -2
tumhe duur hi se dekhen har din na paas aaye -2
aankhon mein zindagi bhar tak -2
tera intazaar dole
mere mann ka ...

Submitted by Guest