Lata Mangeshkar – Naam Kya Hain lyrics

la: naam kya hai?
ku: pyaar ka maara
la: ghar ka pata do
ku: dil hain tumhaara
la: kya karte ho?
ku: tumse pyaar
la: isaka nateeja?
ku: kuch bhi ho yaar

la: naam kya hai?
ku: pyaar ka maaraa ...

ku: main tera deewana, tu meri deewani
aaise kyon nayi kafaa?
la: kuch na maanu main, jaanu jaanu main
teri marzi hai kya
ku: kabhi laila majnu
la: are ja re ja re ja
ku: kabhi shireen farhaad
la: mujhe aise na sata
ku: kabhi raanjha kabhi heer
la: dil rakh doon main cheer
ku: kabhi romeo juliet
la: chal hat baaju hat

la: naam kya hai?
ku: pyaar ka maaraa ...

ku: seene mein dil hain, dil mein dhadkan hain
dhadkan mein tu hai basi
la: teri baaton mein, main na aaungi
yu na kar dillagi
ki: o chhodo na teri gali
la: tu hai bhanvara main kali
ku: o raani aaise na akad
la: meri baahein na pakad
ku: hain iraada mera nek
la: du deewana dil-phenk
ku: mujhe khwaabo mein basa
la: aaise baatein na bana

la: naam kya hain?
ku: pyaar ka maara
la: ghar ka pata do
ku: dil hai tumhaara
la: kya karte ho?
ku: tumse pyaar
la: iska nateejaa?
ku: kuch bhi ho yaar

Submitted by Guest