Lata Mangeshkar – Teri Yaad Mein Jal Kar lyrics

(teri yaad mein jal kar dekh liya
ab aag mein jal kar dekhenge) - 2
is raah mein apani maut sahi
ye raah bhi chal kar dekhenge
teri yaad mein jal kar dekh liya
ab aag mein jal kar dekhenge

(deepak ki chamak mein aag bhi hai
duniya ne kaha paravaanon se) - 2
paravaane magar ye kahane lage
deewaane to jal kar dekhenge
teri yaad mein jal kar dekh liya
ab aag mein jal kar dekhenge

Submitted by Guest