Lata Mangeshkar – Tod Diya Dil Mera Tune Arey Bewafa lyrics

tod diya dil mera tune arey bewafa
mujhko mere pyar ka khoob yeh badla diya
maangon khushi gam miley kehte hai duniya isse
haai main jaaun kaha ab main pukaru kise
yeh toh bata de jara maine tera kya kiya
tera kya kiya
tod diya dil mera

gam ki ghatayen uthi ohhh ohh
saari umeedein miti hoo
iss bhari duniya mein aaj kya mera koi nahi
kaisa yeh toofan uthha jag mein andhera hua
andhera hua
tod diya dil mera

aarzoo nakaam hain zindagi badnaam hain
dil mera kehta hain ab kehta hain ab
maut hi anjaam hain - 2
ghoont le apna gala aaj woh din aa gaya
din aa gaya
tod diya dil mera tune arey bewafa
mujhko mere pyar ka khoob yeh badla diya

Submitted by Guest