Lata Mangeshkar – Tu Aaye Na Aaye lyrics

tu aaye na aaye magar jaane vaale teri yaad a a kar rulaaya karegi
jo dekhega rota hai koi akela -2 to khud bhi aansu bahaaya karegi
tu aaye na aaye ...

jidhar se gaya tu ye raahen hamesha tarasti rahengi teri vaapasi ko
udhar se hava bhi jo aaya karegi -2 tera naam lekar sataaya karegi
tu aaye na aaye ...

jo raaton ko taare ye poochhenge mujhase bata tu bhi kyon raat bhar jaagati hai
kahoongi meri neend bas mein nahi hai -2 ye birahan bahaane banaaya karegi
tu aaye na aaye ...

jahaan meri aankhon ka paani girega teri yaad ke phool khilate rahenge
savere-savere jo aayegi shabanam -2 to dil thaam kar laut jaaya karegi
tu aaye na aaye ...

Submitted by Guest