Lata Mangeshkar – Ye Parbaton Ke Daayare lyrics

ye parbaton ke daayare ye shaam ka dhuaan
aise mein kyon na chhed den dilon ki daastaan

zara si zulf khol do fiza mein itr ghol do
nazar jo baat kah chuki vo baat munh se bol do
ki jhoom uthe nigaah mein bahaar ka samaan
ye parbaton ke daayare ...

ye chup bhi ek savaal hai ajeeb dil ka haal hai
har ik kayaal kho gaya bas ab yahi kayaal hai
ki faasala na kuch rahe hamaare darmiyaan
ye parbaton ke daayare ...

ye roop rang ye phaban chamakte chaand sa badan
bura na maano tum agar to choom loon kiran kiran
ki aaj hausalon mein hai bala ki garmiyaan
ye parbaton ke daayare ...

Submitted by Guest