Lata Mangeshkar – Zinda Hoon Magar lyrics

khamosh hai khevanhaar mera, naiyya meri doobi jaati hai

khamosh hai khevanhaar mera, naiyya meri doobi jaati hai
zinda hoon magar ab jeene ki ummeed bhi tooti jaati hai

saahil ki tamanna thi mujh ko, manjhadhaar mein beda ja pahuncha
jeene ki duaayen kya maangu, paani to gale tak aa pahuncha
dil dhoondh raha hai duniya ko, duniya hai ki chhooti jaati hai
naiyya meri doobi jaati hai, khamosh hai khevanhaar mera

gam apna zabaan tak la na saku sansaar ko munh dikhala na saku
ghutata hai jo dam, rukte hain kadam,
badhate hain qadam, rukte hain kadam,
ghutata hai jo dam, rukte hain kadam, manzil ki taraf bhi ja na
saku
bhatka hua raahi jaan ke ab taqdeer bhi roothi jaati hain
naiyya meri doobi jaati hai, kaamosh hai khevanhaar mera

charnon mein hai tere laaj meri, sun aaj zara fariyaad meri
tu duur nahi, majaboor nahi, nagari hai magar barbaad meri
kya yu hi garibon ki duniya sansaar mein looti jaati hai
naiyya meri doobi jaati hai, kaamosh hai khevanahaar mera

Submitted by Guest