Lata Mangeshkar – Zindagi Bebas Hui lyrics

zindagi bebas hui hai bekasi ka saath hai
ek ham hain is qafas mein ya kuda ki zaat hai

o aasmaan waale shikwa hai zindagi ka - 2
sun daastaan gam ki afsaana bebasi ka

( tu dekhta rahe aur duniya hamein saza de
kya jurm hai mohabbat itana zara bata de ) -2
manzil pe kyon luta hai
manzil pe kyon luta hai har kaarawaan kushi ka

o aasmaan waale shikwa hai zindagi ka
sun daastaan gam ki afsaana bebasi ka

( itni si iltija hai tujhse meri dua ki
allaah sharm rakhna duniya mein tu wafa ki ) -2
hota hai maut hi to
hota hai maut hi to anjaam zindagi ka

o aasmaan waale shikwa hai zindagi ka
sun daastaan gam ki afsaana bebasi ka

Submitted by Guest