Lata Mangeshkar – Zindagi Ki Pehli Jaroorat lyrics

zindagi anmol
zindagi ki pehli jaroorat hai kya
ek pyar tera
pyar se bhi tumko pyara hai kya
intezaar tera
duniya ke gamon ka ilaaj hai kya
deedar tera
zindagi anmol
zindagi ki pehli jaroorat hai kya
ek pyar tera

mujh gareeb ko kam naseeb ko tumne itna pyar diya
kaise karz utaru uska tumne jo upkaar kiya
tumne labon ki laali bhar ke rang nikhar diya hain
pyar ka badla deke pyar sansar sanwar diya hain
pran do ek hue karz ka kya sawal
zindagi anmol
zindagi ke sapnon ki manzil hai kya
aitbaar tera
imaan ki kitaabon se badhkar hai kya
ikarar tera
maseeha se bhi achha hoga na kaun
beemar tera
zindagi anmol
zindagi ki pehli jaroorat hai kya
ek pyar tera

tum mujhko devo se badhkar bin maange vardaan diye
karz na jinka chuka saku main tune woh ehsaan kiya
main toh farishta nahi koi insaan tumhare jaisa
sukh dukh ke dono saathi ehsaab kisipe kaisa
jo mera woh tera karz ki baat kya
zindagi anmol
zindagi ki sabse badi daulat hai kya
upahaar tera
saare hi nazaron se pyara hai kya
singhaar tera
duniya mein jeene ki surat hai kya
aaitbaar tera
zindagi anmol

Submitted by Guest