Meghna Mishra – Main kaun hoon lyrics

Album: Secret superstar

Koi ye bata de main hoon kahan
Koi to bata de mera pata
Sahi hai ke nahin meri yeh dagar
Loon ke nahi main apna yeh safar

Darr lagta hai sapno seb
Kar de na yeh tabah
Dar lagta hai apno se
De dein na yeh dagaa.....

Main chand hoon ya daag hoon
Main rakh hoon ya aag hoon
Main boond hoon ya hoon lehar
Main hoon sukoon ya hoon kehar

Koi ye bata de main kaun hoon?
Kyun hoon main, main kya hoon
Main kaun hoon?
Yakeen hai ke nahin khud pe mujhko kya
Hoon ke nahi main hai farak padta kya

Kiske kandhon pe roun
Ho jaye jo khata
kisko rahon mein dhoondun
Kho jaye jo pata.....

Main chand hoon ya daag hoon
Main rakh hoon ya aag hoon
Main boond hoon ya hoon lehar
Main hoon sukoon ya hoon kehar.....

Main sach kahoon ya chup rahun
Dil khol dun ya tod doon
Main hadd karun ya bass karun
Main zid karun ya chodd doon

Main chaand hoon ya daag hoon
Main rakh hoon ya aag hoon
Main boond hoon ya hoon lehar
Main hoon sukoon ya hoon kehar.....

Main Kaun Hoon.......

Submitted by Guest