Mohammad Rafi – Agar Dil Kisise Lagaaya Na lyrics

agar dil kissi se lagaaya na hota (2)
zamaane ne hum ko mitaaya na hota (2)

gira na hi tha toone aansoo samajh ke, aansoo samajh ke
to nazaron mein hum ko basaaya na hota (2)
zamaane ne hum ko mitaaya na hota

muqaddar mein gar yehi rusvaaiyaan thi, rusvaaiyaan thi
to mehfil mein teri main aaya na hota (2)
zamaane ne hum ko mitaaya na hota

agar tere daaman ki hasrat na hoti, hasrat na hoti
to yoon zindagi ko lootaya na hota
agar dil kissi se lagaaya na hota
zamaane ne hum ko mitaaya na hota

Submitted by Guest