Mohammad Rafi – Aur Kutch Der Thehar lyrics

aur kuch der thahar aur kuch der na jaa
aur kuch der thahar ...

raat baaki hai abhi raat mein ras baaki hai
paake tujhko tujhe paane ki havas baaki hai
aur kuch der thahar aur kuch der na jaa
aur kuch der thahar ...

jism kaa rang fazaa mein jo bikhar jaayega
meharbaan husn tera aur nikhar jaayega
laakh zaalim hai zamana magar itna bhi nahi
tu jo baahon mein rahe waqt thehar jaayega
aur kuch der thahar aur kuch der na jaa
aur kuch der thahar ...

zindagi ab inhi kadmon pe luta du to sahi
aye haseen but main Kudaa tujhko banaa du to sahi
aur kuch der thahar aur kuch der na jaa
aur kuch der thahar ...

Submitted by Guest