Mohammad Rafi – Bahaar-e-husn Teri lyrics

Bahaar-e-husn teri, mausam-e-shabaab tera
Kaha se dhhundhh ke laaye koyi jawaab tera
Ye subah bhi tere rukhsaar ki jhalak hi to hai
Ke naam leke nikalta hai aaftaab tera

Jaha tu hai waha phir chaandni ko kaun poochhega
Tera dar ho to jannat ki gali ko kaun poochhega

Kali ko haath mein lekar bahaaron ko na sharmaana
Zamaana tujhko dekhega kali ko kaun poochhega

Farishton ko pata dena na apni rahguzaaron ka
Wo kaafir ho gaye to bandagi ko kaun poochhega

Kisiko muskuraake khubsoorat maut na dena
Qasam hai zindagi ki, zindagi ko kaun poochhega

Submitted by Guest