Mohammad Rafi – Bahut Shukriya Badi lyrics

Bahut Shukriya Badi Meherbaani,
Meri Zindagi Mein Huzur Aap Aaye,
Kadam Chumlun Yaa, Ke Aankhen Bichadun,
Karun Kya Yeh Meri, Samaj Mein Na Aaye,
Bahut Shukriya...

Karun Pesh Tum Ko, Nazarana Dil Kaa,
Nazarana Dil Kaa..
Ke Ban Jaaye Koyi.. Afasana Dil Kaa,
Khuda Jaane Aisi Suhani Ghadi phir,
Khuda Jaane Aisi Suhani Ghadi Phir,
Meri Zindagi Mein Palat Ke Na Aaye,
Bahut Shukriya...

Mujeh Dar Hai Mujh Mein, Gurur Aana Jaaye,
Lagun Jhoomne Mein, Surur Aa Na Jaaye,
Surur Aa Na Jaaye,
Kahin Dil Na Mera, Yeh Taarif Sun Kar,
Kahin Dil Na Mera, Yeh Taarif Sun Kar,
Tumhare Bane Aur Mujeh Bhool Jaaye,
Bahut Shukriya..

Khushi To Bahut Hai Magar Yeh Bhi Gam Hai
Magar Yeh Bhi Gam Hai
Ke Yeh Saath Apna Kadam Do Kadam Hai
Magar Yeh Musafir Duaa Maangta Hai
Magar Yeh Musafir Duaa Maangta Hai
Khuda Aapse Phir Kisi Din Milaaye

Bahut Shukriya Badi Meherbaani,
Meri Zindagi Mein Huzur Aap Aaye,
Kadam Chumlun Yaa, Ke Aankhen Bichadun,
Karun Kya Yeh Meri, Samaj Mein Na Aaye,
Bahut Shukriya...

Submitted by Guest