Mohammad Rafi – Chupne Wale Saamne Aa lyrics

Chhupne wale saamne aa
chhup chhup ke mera jee na jala
suraj se kiran badal se pawan
kab talak chhupegi yeh to bata
chhupne wale saamne aa

aakhir teri naaz ki yeh
haar nahi to aur hai kya
daud ke aana paas mere
pyar nahi to aur hai kya
door khadhi hairaan hai kya
daant mein yun ungli na daba

chhupne wale saamne aa...

Aa lipti hai dil se mere
zulf teri balkhaayi huyi
dekh raha hoon teri nazar
apni nazar tak aayi huyi
gaalon par zulfein na gira
tu hai qayamat main hoon bala

Chhupnewale saamne aa
chhup chhup ke mera jee na jala
suraj se kiran, badal se pawan
kab talak chhupegi yeh to bata

Chhupne wale saamne aa...

Submitted by Guest