Mohammad Rafi – Dil Mein Ik Jaan-e-tamanna lyrics

Dil Mein Ek Jaan-e-tamanna Ne Jagah Paayi Hai,
Aaj Gulshan Mein Nahin, Ghar Mein Bahaar Aayi Hai,

Dil Mein Ek Jaan-e-tamanna Ne Jagah Paayi Hai..

Aagaya Mere Tasavur Mein Koyi Parda Nasheen,(2)
Aaj Har Cheez Nazar Aane Lagi Mujhko Haseen,
Kya Kahun Mein Badi Dil Kash Meri Tanahaayi Hai,
Aaj Gulshan Mein Nahin, Ghar Mein Bahaar Aayi Hai,
Dil Mein Ek Jaan-e-tamanna Ne Jagah Paayi Hai..

Husn Ke Saamne Ishaar-e-wafa Hai Mushkil, (2)
Kaash Chupkar Hi Voh Sunle Mera Afsan-e-dil,
Jisne Yeh Pyar Ki Manzil Mujeh Dikhlaayi Hai,
Aaj Gulshan Mein Nahin, Ghar Mein Bahaar Aayi Hai,
Dil Mein Ek Jaan-e-tamanna Ne Jagah Paayi Hai

Submitted by Guest