Mohammad Rafi – Humin Se Mohobbat lyrics

humi se mohabbat humi se ladai - 2
are maar dala duhaai duhaai - 2
abhi nasamajh ho uthao na khnajar - 2
kahin mud na jaye tumhari kalai
are maar dala duhaai duhaai

sitam aaj mujhpar jo tum dha rahi ho
badi khubsoorat nazar aa rahi ho
ye jee chahta hai ke khud jaan de doon- 2
mohabbat mein aaye na tum par burai
are maar dala duhaai duhaai

hume husn ki har ada hai ganvara
haseenon ka gussa bhi lagta hai pyaara
udhar tumne teer-e-nazar dil pe maara - 2
idhar humne bhi jaan par chot khaai
humi se...

karo khoon yun tum na mere jigar ka
bas is vaar kafi hai tirchi nazar ka
yahi pyaar ko aazmane ke din hai - 2
kiye jaao humse yunhi bewafai
humi se...
ooooooo...
abhi na samajh uthao na khanjar - 2
kahin mud na jaaye tumhari kalai
are maar dala duhaai duhaai

Submitted by Guest