Mohammad Rafi – Lagata Nahin Hai Dil Mera lyrics

Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujde Dayaar Mein
Kiski Bani Hai Aalam-E-Napaydaar Mein

Keh Do In Hasraton se Kahin Aur Ja Basein
Itni Jageh Kahan Hai Dil-E-Daagdar Mein

Umr-E-Daraaz Mang kar Laye The Chaar Din
Do Aarzoo Mein kat Gaye Do Intezaar Mein

Kitna Hai Badnaseeb \'Jafar\' Dafan Ke Liye
Do Gaz Zameen Bhi Na Mili Kuch-E-Yaar Mein

Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujde Dayaar Mein
Kiski Bani Hai Aalam-E-Napaydaar Mein

Submitted by Guest