Mohammad Rafi – Raakhi Dhaagon Ka Tyauhaar lyrics

raakhi dhaagon ka tyauhaar -2
bandha hua ik-ik dhaage mein bhaayee-bahan ka pyaar
raakhi dhaagon ka ...

kitna komal kitna sundar bhai-behan ka naata
is naate ko yaad dilaane ye tyauhaar hain aata
behan ke man ki aashaayen raakhi ke ye taar
raakhi dhaagon ka ...

behan kahe mere veer tujhe na buri najariya laage
mere raaja bhaiyya tujhko meri umariya laage
dhan hu paraaya phir bhi milungi saal mein to ik baar
raakhi dhaagon ka ...

bhai kahe o behan main teri laaj ka hu rakhwala
gunthunga main pyaar se tere armaanon ki maala
bhaai-bahan ka pyaar rahega jab tak hain sansaar
raakhi dhaagon ka ...

Submitted by Guest