Suresh Wadkar – Hai Dil Mein Lagan lyrics
su: baar-e-duniyaa mein.. raho shaad ke, naashaad raho
aise kuchh karke chalo, karke chalo yaa ke
bahut yaa..d raho, yaad raho, yaad raho
ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan -2
ye jaan nichhaavar karne ki
a: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
a: kyaa shaan hai aise marne ki
a, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
ni: hai maut se rishtaa jeevan kaa
paidaa jo huaa vo martaa hai
a: is janam-janam ke saathi se
naadaan hai vo jo Dartaa hai
ni: veeroN ne reet nibhaai hai -2
marne se mohabbat karne ki
a: kyaa baat hai aise jeene ki -2
ni: kyaa shaan hai aise marne ki
a, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
a: ye zaalim Daakoo hatyaare
desh aur insaan ke dushman hai
ni: vah vaar karenge ham inpar
ye dharm-imaan ke dushman hai
a: khaate hain qasam, is desh mein ham -2
ik jashn-e-bahaaraaN karne ki
ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
a: kyaa shaan hai aise marne ki
a, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
a: ye rut hai pyaar mohabbat ki
har moD pe husn ke jalve hain
ni: miTTi mein mahak hai phooloN ki
zarroN mein chaaNd sitaare hain
a: armaan hai pyaar mein jeene kaa -2
hasrat hai husn pe marne ki
ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
a: kyaa shaan hai aise marne ki
a, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
Top Suresh Wadkar songs
- Tumse Milke Aisa Laga
- Seene Mein Jalan
- Chhod Aaye Hum Vo Galiyaan
- Huzoor Is Kadar Bhi
- Likhane Wale Ne Likh Daale
- Pyaar Ye Jaane Kaisa Hai
- Chappa Chappa Charkha Chale
- Sona Kare Jhilmil Jhilmil
- Ram Teri Ganga Maili
- Meri Yaad Aayegi Aati Rahegi
- Goro Ki Na Kalo Ki
- Bol Radha Bol
- Megha Re Megha Re
- Tum Mere Ho
- Baabul De Do Duaa