Yesudas – Teri Tasveer Ko Seene lyrics

pothii padh padh jag muaa, pandit bhayaa na koy
dhaaii akshar prem kaa, padhe so pandit hoy

terii tasaviir ko siine se lagaa rakhaa hai(3)
hamane duniyaa se alag gaanv basaa rakhaa hai
terii tasaviir ko ...

merii kismat kii lakiiron ko sajaayaa tuune(2)
ek naachiiz ko fanakaar banaayaa tuune
main ne har bol teraa dil mein sajaa rakhaa hai
hamane duniyaa se ...

main ne giiton se chhavi terii banayii barason(2)
duur rah kar tujhe aavaaz sunaayii barason
kis liye tuu ne mujhe gair banaa rakhaa hai
ham ne duniyaa se ...

tujhako din raat khayaalon mein hai puujaa main ne(2)
tere pairon ke nishaan par kiyaa sajadaa main ne
bandagii mein tere sar ab bhii jhukaa rakhaa hai(2)
hamane duniyaa se ...

Submitted by Guest