Alka Yagnik – Mohabbat Ke Din Ho lyrics

--MALE--
(Mohabbat ke din ho, mohabbat ki raatein
Kabhi khatm naa ho mohabbat ki baatein) - 2

--FEMALE--
Yeh meri zindagi ab tere naam hai
Tu hai meri subhaa, tu meri shyaam hai
Dilbar tujhe pyaar karna ab mera kaam hai

--MALE--
Yeh meri zindagi ab tere naam hai
Tu hai meri subhaa, tu meri shyaam hai
Dilbar tujhe pyaar karna ab mera kaam hai
Mohabbat ke din ho, mohabbat ki raatein
Kabhi khatm naa ho mohabbat ki baatein

Khwaabon mein dekha jisse, tu hai vahi dilrooba
Chaahoon main kitna tujhe tujhko nahin hai pataa

--FEMALE--
Darrta hai dil, jaao sanam
Yun naa mujhe chaaho sanam
Hum jo hue milke judaa
Socho zara, phir hoga kya

--MALE--
Abhi to mile ho, naa tum aisa socho
Meri chaahaton ka yun rastaa naa roko

--FEMALE--
Oh, yeh meri zindagi ab tere naam hai
Tu hai meri subhaa, tu meri shyaam hai
Dilbar tujhe pyaar karna ab mera kaam hai

--CHORUS--
Mohabbat ke din ho, mohabbat ki raatein
Kabhi khatm naa ho mohabbat ki baatein

--MALE--
Tere sivaa ab mujhe kuch yaad aata nahin
Betaab rehta hoon main, yun dard jaata nahin

--FEMALE--
Deewangi mushkil badi
Main kya karoon, mujhko bataa
Is dard ki kya hai davaa
Tu jo kahe mangoon duaan

--MALE--
Ho, yeh dil hai deewana, nahin maanta hai
Sivaa ishq ke kuch nahin jaanta hai

--FEMALE--
Hey, yeh meri zindagi

--MALE--
Ab tere naam hai

--FEMALE--
Tu hai meri subhaa

--MALE--
Tu meri shyaam hai

--FEMALE--
Dilbar tujhe pyaar karna

--MALE--
Ab mera kaam hai

--CHORUS--
Mohabbat ke din ho, mohabbat ki raatein
Kabhi khatm naa ho mohabbat ki baatein

Submitted by Guest