Alka Yagnik – Saat Rang Ke Sapne lyrics

saat rang ke sapanon mein main kho gayi sajana
odhi chunar tere pyaar ki teri ho gayi sajana
maine tujhko pehnaaya hai sajani gajara chuudi kangana
chaahein chhoote duniya maine maangi hai dua
chhoote tera sang na
saat rang ke sapanon ...

bole mera kajara bole meri bindiya
teri aankhon se piya main churaaun nindiya
tere joode ki kasam tere baalon ki kasam
main deewana huun tera tere gaalon ki kasam
chain se teri baahon mein main so gayi sajana
saat rang ke sapanon ...

haathon mein mehandi aur mann mein piya
lage kahi na piya bin jiya
in hawaaon ne kahaa in bahaaron ne kahaa
tu hai mera balam in nazaaron ne kahaa
teri yaadon mein rahu teri aankhon mein rahu
main huun teri zindagi teri saanson mein rahu
laut ke na aayi tere ghar mein jo gayi sajana
saat rang ke sapanon ...

Submitted by Guest