Ghulam Ali – Ab Toh Iss Tarah lyrics

Album: Saadgee

ab to is tarah meri aankhon mein khwaab aate hain
jis tarah aayeene cheharon ko taras jaate hain

ehatiyaat ahal-e-mohabbat ke isi shahar ke log
gul-ba-dast aate hain aur paabaa-rasan jaate hain

jaise tajdeed-e-taalluq ki bhi rut ho koi
zakm bharate hain to ahabaab bhi a jaate hain

har kadi raat ke baad aisi qayaamat guzari
subaho ka zikr bhi aaye to laraz jaate hain

Submitted by Guest